Рет қаралды 1,569,854
Mahindra company ko bhartiya bazar mein apne tough aur rugged SUV’s ke naam se jaana jata hai. Unhi SUV’s mein se ek ka naam hai Mahindra Scorpio jo ki 15 saalo se zayada hum bhartiyo ke dilo mein raj kar rahi hai.
BEFORE 90’S
90 ke dhashak se pehle Mahindra and Mahindra company Willys Jeep ke modified versions ki assembly karti thi jinme kuch ke naam hai Mahindra CL 550 MDI, Mahindra MM 540 DP, Mahindra Classic, Mahindra Major aur Mahindra Commander.
Company ko aage badhne aur market par apna dabdaba banaye rakhne ke liye Mahindra and Mahindra ne 1992 mein launch ki MM775 jisne aage jaake Armada ka roop liya. Abh Mahindra company ka goal tha international market mein pravesh karne ka aur iske liye Dr. Pawan Goenka ko hire kiya General Manager R&D ki post pe.
Dr. Goenka ko aane waale samay mein kai challenge face karne the kyunki unki R&D team mein sirf 8 log he the aur 2 hafto ke ander unhe Company ke Board of Directors ko Scorpio ka plan show karna tha.
Meeting mein Dr. Goenka aur unki team ne 2 plans show kiye jisme pehla plan tha ki existing Mahindra Commander ke base par he nayi SUV banayi jaye aur dusara option tha ki ek bilkul he naye platform par brand new SUV banaye. Dr. Goenka pure sure the ki Board of Directors aur Anand Mahindra pehla plan he select karenge kyunki Commander par fir se kaam karna aasan aur kam risk waala tha. Magar Anand Mahindra ne soch vichar kar dusara plan select kiya kyunki pehla plan Mahindra Company ko us uchai tak nahi pahucha sakta tha jitna ki plan 2.
Dr. Pawan Goenka ki team ne Scorpio ko develop karne ke liye 800 crore rupee ka budget rakha. Yeh budget baaki badi companiyo ke mukabale kaafi kam tha jo ki hazaro crore rupee invest karti thi ek nayi gadi ko develop karne mein.
Kuch dino ke baad board of directors ne budget 800 crore rupee se kam kar 600 crore rupee ka rakh diya kyunki 800 crore rupee ka budget company ke pichle 4 saal ke profits se bhi zayada tha.
Is ke baad Dr. Goenka aur unki team Scorpio ko develop karne mein lag gayi aur aage jaake 23 engineers judh gaye the Scorpio Project se. Scorpio ko design 26 saal ke Shyam Kumar Allepalli ne kiya wahi dusri taraf interiors ko design Ramkripa Ananthan ki team ne kiya.
2002: Birth of an Icon
5 saal ki kadi mehnat ke baad, company ki pachasvi saalgirah par Mahindra Scorpio ko launch kiya gaya. Scorpio bharat ki pehli car bani jise puri tarah desh meh hi banaya gaya tha.
Dr. Pawan Goenka ki team ne Scorpio ko 550 crore rupee me hi tayar kar diya jabki Board of Directors ne budget 800 crore rupee se kam kar 600 crore rupee ka kar diya tha. Baad mein Dr. Goenka ke anusar Board of Directors ne sahi he decision liya. Agar budget 800 crore rupee ka hota toh shayad Scorpio ki team itni mehnat, risk aur innovate nahi kar paati jitni usne ki hai.
Market mein launch hote he Scorpio, SUV lovers ki pehli pasand ban gayi aur isne Mahindra and Mahindra ke saare sales record todh diye. Launch ke samay Scorpio ko teen prestigious awards bhi mille jo ki the, Launch of the Year India Leadership Submit dwara, Car of the Year CNBC Autocar dwara aur Best Car of the Year BBC on Wheels ke dwara.
FURTHER TIMELINE
2005 mein Scorpio naye shaktishali CRDe engine ke saath baazar mein aayi aur 2006 mein third generation Scorpio launch hui 43 naye features ke saath. Uske agle saal he mHawk engine ko bhi introduce kiya gaya. Mahindra ne 2008 mein Scorpio ka automatic version bhi nikala. 2009 ke samay Scorpio ko facelift kiya gaya Mighty Muscular tag ke saath jise customers ne kaafi pasand kiya. 2016 mein Scorpio Intelli Hybrid Technology ke saath launch hui aur is se desh ki pehli mild hybrid SUV bhi ban gayi.
Scorpio ne kai rallies ke khitab bhi jeete hai jaise ke prasidh Raid de Himalaya, Rally dos Sertões aur Desert Storm Rally. Mahindra Scorpio itni tough aur powerful hai ki sirf ise apne desh ki hi police aur special forces use nahi karti balki ise Maldives ki police force, Phillippines ki security force aur Sri Lankan police bhi ise use karti hai.
Scorpio ko apne Design, power aur price se jaana jata hai aur yahi karan hai aaj tak 5 lakh se zayada Scorpio market mein bik chuki hai. Scorpio bharat ke alawa 15 se zayada desho mein bikti hai jinme kuch desh ke naam hai Australia, Russia, Brazil, France, Italy, Spain aur South Africa.
Aur aaj Scorpio apne fourth generation mein hai aur kai nayi technologies ke saath aati hai jaise ki Anti Roll, Cruise Control, ABS, Airbags aur panic braking indication.
Dr. Pawan Goenka jinhe Scorpio man ke naam se bhi jana jata hai unhone socha nahi tha ki Scorpio Mahindra and Mahindra company ko is uchai tak le jayegi. Dr. Goenka ke anusar Scorpio sirf ek project he nahi balki ek ambition tha jisne Bharat ko proud feel karaya.
Scorpio woh gaadi hai jisne humare desh mein SUV segment ki pehchan banai aur aaj bhi is segment mein dominate kar rahi hai.
Toh kaisa laga aapko humara yeh video, comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein.
#SG_TV