Nikah karne ka hukm Allah ka hai. Har Rasul ke daur me nikah hota tha. Rasul s a w ka bhi tarika hai. Nikahi kharch me mishal ke taur par total 8000/- hai. Jisme 6000/- mashjid ka aur 2000/- kazi ka hai. Garib admi ko 8000/- dena aur nikah karna muskil ho raha hai. Masjid ka chanda. Nikah ke nam par jabran liya jata hai. Jo galat tarika hai. Mashjid ka chanda log apne marji se dete hain. Lekin nikah ke nam par jabran liya jata hai. Ise roka jay. Bat se nahi rukta hai to lat se roken. Kazi ka bhi fix rate nahi hona chahiye. Log apna hashiyat ke motabik apne marji se jo denge wah le len. Kazi nikah nahi padhate hain to koi bhi padhe likhe log padha den. Committee ke format me likha padhi na karen. Stamp paper par karen aur usper Notary se sign karayen aur kanoon ke motabik paper work karayen ya court se shadi agreement karayen. Court Committee ke nikah nama ko kanunan sahi nahi manta hai. Committee sab registered nahi hota hai. Committee ko shadi ki Registraton ka adhikar nahi hai. Ulama kewal apna fayeda ke liye logon ko gumrah aur pareshan na karen.