پہلی بار لکھنو کے بارے میں بہت ہی اچھی معلومات حاصل ہوی بہت بہت شکریہ
@nasimazizi6201Ай бұрын
Atiqua Farooqui ne bhi akheer mein Jaun Elia ka SHE'IR ghalat padha. Unki zabaan bhi aik-aadh jagah phisal gayi, jaise रूखा का रूखा़, और फूल को फू़ल kaha...
@nasimazizi6201Ай бұрын
Nawab Wajid Ali Shah ke waalid ka naam Amjad Ali Shah tha 'Amzad.......' nahin...
@nasimazizi6201Ай бұрын
Ravi ji ne apni guftgu ki ibtida SHE'IR ke naam par 4-ghalat misron se ki. Unhon ne chaaron misre ghalat padhe. 'Lucknow' par baat cheet karne ke liye zuroori hai k SHE'IR kam az kam drust padhe jaaye. Lucknow ki ye riwayat rahi hai k agar koi shaair aik misra kya agar aik lafz ghalat padhta tha to 'Audience' mein se kayi log ussay tok dete thay. Ab to ye aalam hai ki Mushaire ke bade-bade 'platforms' se 'naam nihaad sho'ara' ghalat salat ash'aar sunana apna paidaishi haq samajhte hain to phir Dr Ravi Bhatt ka kya qusoor! Dr sahib ne Lucknow ke ta'al'luq se umda guftgu ki, mubarak baad!