Рет қаралды 254
We reviewed the Maruti Suzuki Grand Vitara.
26th September 22 ko launch hone waali Maruti Suzuki Grand Vitara 6 varients mein aati hai.
Is car mein aapko do powertains milte hain, 1.5 litre mild hybrid jisko maruti Suzuki ne banaya hai, ye powertain 102 BHP aur 137 NM ki power deliver karta hai, Is version mein aapko 5 speed manual aur 6 speed torque converter automatic gear box milta hai.
Vahin dusra powertrain ek strong Hybrid engine hai jisko Intellent electric hybrid system bhi bola jaata hai, ye waala jo version hai isko Toyota ke platform TNGA pe banaya gaya hai, Is waale version mein aapko 144 bhp aur 141 NM ki power milti hai aur ye version sirf ek E-CVT automatic gearbox ke saath aata hai.
Features ki baat kare to Grand Vitara mein aapko
Panoramic sunroof,
Dual-tone black and brown interior theme
360-degree camera
Heads Up display
Nine-inch SmartPlay Pro+ touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto,
Ventilated front seats
Paddle shifters
Drive modes
Safety features mein six airbags
ABS with EBD
Rear parking sensors
Hill hold assist
Speed alert system
Seat-belt reminder system
Reverse parking camera
Aur hill descent control jaise features milte hain.
Grand Vitara 9 colors mein aati hai jisme 5 logo ki seating capacity hai.
Iske competetion mein aane waali cars hain Kia Seltos, Hyundai Creta, MG Astor, Tata Harrier, Skoda Kushaq, and the Volkswagen Taigun.
Delhi mein Grand Vitara ka Ex showroom price 10.45 lacs se shuru hokar 19.65 lacs tak jaata hai.